Huzur Sallallahu alaihe wasallam ne farmaya ki: Allah ka sab se ziyadah piyara banda woh hai jo logo ko sab se ziyadah faaida pahunchaata hai.Isi liye Tanzeem "Dawat-e-Quran" majboor aur be-sahaara logo ki Education, Ration, Medicines aur is ke elawah har tariqe se un ki madad karti hai.
Quran aur Sunnat ki taalim ko aam karne ke liye Tanzeem "Dawat-e-Quran" ki taraf se alag alag jaghon par hafta-waari Dars-e-Quran wa hadith ka ehtemaam bade paimaane par kiya jaata hai.
Al-Mustafa Islamic Academy,Dawat-e-Quran ka ek aham Department hai.Jis me college ke students,kaaro baari log aur nookri pesha hazraat ko 5 saal ka Aalim-e-Deen course karaya jaata hai.
Dawat-e-Quran har saal Huzur Sallallaho alaihe wasallam ki paidaaish ke din ko"PEACE AND HUMANITY DAY" ke taur par manaata hai.Kyunki Huzur ki paidaaish ka din haqiqat me aman aur insaaniyat ka din hai.
Students ki taraqqi aur un ki zindagi ko kaamyab bana ne ke liye "Dawat-e-Quran" Career Counselling ka ehtemaam karta hai.Aur un ko tafseel se bataata hai ki woh class 10 ya 12 ke baad kya kya kar sakte hain aur un ke kya faaide hain wagairah wagairah.
Deeni uloom ko sikhaane aur un ko aam karne ke liye Dawat-e-Quran Islamic Sumer Classes ka bhi ehtemaam karta hai.Aur Saath hi is maqsad ke liye 10 roza Tarbiyati Etekaaf ke saath Ramzan Islamic School bhi chalaata hai.