Maa Baap ya Buzurgo ka Haath aur Pair chumna aur un ki Taazim ke liye khade hone ka Bayan



Maa Baap ya buzurgo ka haath aur pair chumna aur un ki taazim ke liye khade hona beshak jaaiz aur durust hai.Aur huzur Sallallaho alaihe wasallam aur sahaba se saabit hai.Jaisa ki hadis sharif me hai ki:Jab Qabila bani Abdul Qais ke log huzur ke paas Madina sharif aae to un logo ne Aap Sallallaho alaihe wasallam ke haath aur pair ko chuma.Aur Huzur ne un ko mana nahi farmaya.(Abu Dawood,Hadis No.5225)
Ummul momenin Hazrat-e-Aaisha radhi allaho anha bayan karti hain ki:Hazrat-e-Fatima radhi allaho anha jab Huzur Sallallaho alaihe wasallam ke paas aati to huzur khade ho jaate,Un ka haath pakadte aur un ko boosa dete phir apni jagah par baithaate.Aur Jab Huzur Sallallaho alaihe wasallam un ke yahan tashrif le jaate to woh khadi ho jaati,Huzur ka haath pakad leti aur boosa deti aur apni jagah par baithaati.(Abu Dawood,hadis No.5217)
Hazrat-e-Sa’eed khudri radhi allaho anho bayan karte hain ki: Jab Qabila Quraiza ka maamla hua to Huzur ne hazrat-e-Sa’ad radhi allaho anho ko bulaane ke liye aadmi bheja.Phir jab woh qareeb pahuche to Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne logo se farmaya ki: Apne sardaar ke liye khade ho jaao.(Sahi Bukhari,hadis No.3804.Sahi Muslim,Hadis No.1768.Abu Dawood,hadis No.5215)
In hadiso se maloom hogaya ki Maa Baap ya buzurgo ka haath aur pair chumna aur un ki taazim ke liye khade hona beshak jaa’iz aur durust hai.Lekin agar koi shakhs apne dil me ye khaahish rakhe ki log meri taazim ke liye khade hon to ye bilkul najaa’iz aur gunaah hai.Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki:Jo shakhs ye khaahish rakhta hai ki log mere liye khade hon to us ka thikaana jahannam hai.(Abu Dawood,Hadis no.5229)
Isi tarah se maaldaar log baithe hon aur kuchh log sirf taazim ke liye sardaar ke paas khade rahe jaisa ki bahut saari jaghon par hota hai ki zameendaar ya nawab baitha hota hai aur kuchh khaas log uski taazim ke liye khade hote hain,Aur yahi unki duty hoti hai.Ye tariqa bhi sahi nahi.Isi ke baare me Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki:Tum log aise khade na raho jaise azmi (yani arab ke elawah dusari jagah ke log) khade rahte hain.(Abu Dawood,hadis No.5230)
Share.........




Related Topics



Khaana khaane ke Adaab Pani wagairah pine ke adaab Libaas ke ahkaam aur adaab Tel,Khushbu aur kanghi ke masaail-o-Adaab Ghar se nikalne aur daakhil hone ka tariqa Anguthi pahn-ne ke Masaail Sone chandi ke zewar ke Masaail Loha,Taamba,Pital aur dusre dhaat ke zewar ke ahkaam Mehandi,Kaanch ki churiyan aur sendoor wagairah ka sharyi hukm Bhau ke baal banwaane,Tatto karwane aur banawati baal lagaane ka mas'ala Safeed baalon ko rangne ka mas'ala Hajamat banwaane ke Masaail-o-Adaab Nakhun kaatne ke Masaail-o-Adaab Pakhaana aur peshab karne ke Masaail-o-Adaab Bimar ki eyaadat ke fazaail aur masaail Bachcho ki paidaaish ke baad ke kaam Jhaar phoonk aur dua ta'wiz ke Masaail Jute aur chappal pahn-ne ke Masaail-o-Adaab Chhink aur jemaahi ke Masaail-o-Adaab Ham-bistari ke Masaail-o-Adaab Peer ke andar kin baato ka hona zaruri hai? Sone,Baithne aur chalne ke Masaail-o-Adaab Dusre ke ghar me daakhil hone ke Masaail-o-Adaab Salam karne ke Masaail Musaafha karne,gale milne aur bosa lene ke Masaail Mannat ke Ahkaam-o-Masaail Qasam ke Ahkam-o-Masaail Gibat,Chugli,Hasad aur jalan ke Ahkaam



Dawat-E-Quran