Holi,Diwali Ki Mubarakbaad Dena Kaisa Hai?



Sawal: Gair Muslim ke tehwar jaise Holi,Dewali wagairah ki Mubarak-baad dena kaisa hai? In tehwaaro me shareek hona ya mithaaiya aur parshaad khaana ya unko tohfa ke taur par dena ya bonus dena ya us din unhe chhutti dena kaisa hai?
Jawab:Gair Muslim ke tehwaar jaise Holi,Dewali,Ram-lila aur Dashahra wagairah me kufriya aur shirkiya kaam hota hai,Is liye uski Mubarak-baad dena ya use achchha samajhna ya us din ki taazim karna kufr hai.Sharah-e-Bukhari Allama Mufti Shariful Haq farmate hain “Holi wagairah ki Mubarak-baad dena sakht haraam balki kufr ki taraf le jaane wala hai jo musalman aisa karte hain un par tauba,Tajdid-e-iman aur nikah laazim hai.[Fatawa Sharah-e-Bukhari,Jild:2,Page No.566]
In tehwaaro me shirkat karna najaaiz-o-haram hai.Aur us din ko taazim ke laayeq samajh kar shirkat karna kufr hai.[Fatawa Tajush-shariya,Jild 2,Page No.74]
Kafiro ke zabiha ke elawah dusri chizo ka khaana jaaiz hai.Mithaayi khaana bhi jaaiz hai magar bachna afazal hai.Haan! Parshaad yani tabarruk samajh kar lena kufr hai. Jaisa ki Allama Sharah-e-Bukhari farmate hain “Jo use parshad samjhe yani use tabarruk jaane us par tauba aur tajdid-e-iman aur agar biwi rakhta ho to tajdid-e-nikah laazim hai.[Fatawa Sharah-e-Bukhari,Jild 3,Page No.139]
Kaar-o-baar karne ki wajah se raqam phansa hoy a aur koi majburi ho to hikmat ke tehat unko tohfa dene me koi gunaah nahi,Haan! Us din ki taazim karte hue hargiz na den.Yahi hukm bonus aur chhutti ka hai ki us din ki taazim karte hue ya us din laazim-o-zaruri samajhte hue bonus dena kufr hai.Haan! Is niyat se dena ki taqriban har company wale bonus aur chhutti dete hain agar nahi diya to mazdoor kaam par nahi aayenge ya maal nuqsaan karenge to dene me harj nahi.
Wallahu A’lamu bis-sawab.
Share........




Related Topics



Gair-Muslim Ko Qurbani Ka Gosht Dena Kaisa Hai? Gair-Muslim Ki Mayyat Me Sharik Hona Kaisa Hai? Musalman Ka Ghoomne Ke Liye Mandir Jaana Kaisa Hai?



Dawat-E-Quran