عَنْ زَيْدِ بْنِ أَرْقَمَ ، قَالَ : قَالَ أَصْحَابُ رَسُولِ اللهِ صَلَّى الله عَليْهِ وسَلَّمَ : يَا رَسُولَ اللهِ ، مَا هَذِهِ الأَضَاحِيُّ ؟ قَالَ : سُنَّةُ أَبِيكُمْ إِبْرَاهِيمَ قَالُوا : فَمَا لَنَا فِيهَا يَا رَسُولَ اللهِ ؟ قَالَ : بِكُلِّ شَعَرَةٍ ، حَسَنَةٌ قَالُوا : فَالصُّوفُ ؟ يَا رَسُولَ اللهِ ، قَالَ : بِكُلِّ شَعَرَةٍ مِنَ الصُّوفِ ، حَسَنَةٌ.ٌّ
Tarjama:Hazrat Zaid bin Arqam radhi Allahu anhu kahte hain ki Rasoolallah Sallallahu alaihe wasallam ke sahaba ne arz kiya: Ya Rasoolallah Sallallahu alaihe wasallam! Ye Qurbaniyan kya hain? Huzur Sallallahu alaihe wasallam ne farmaya:Tumhare baap Ibrahim Alaihissalam ki sunnat hai.Logo ne arz kiya:To is me hamare liye kya sawab hai? Huzur Sallallahu alaihe wasallam ne farmaya:Har baal ke badle neki milegi.Logo ne kaha: Aur oon me? Huzur Sallallahu alaihe wasallam ne farmaya:Oon ke har baal ke badle me bhi neki hai.[ Ibn-e-Majah,Hadees No.3127]
عَنْ عَائِشَةَ ، أَنَّ النَّبِيَّ صَلَّى الله عَليْهِ وسَلَّمَ قَالَ : مَا عَمِلَ ابْنُ آدَمَ يَوْمَ النَّحْرِ عَمَلاً أَحَبَّ إِلَى اللهِ عَزَّ وَجَلَّ ، مِنْ هِرَاقَةِ دَمٍ ، وَإِنَّهُ لَتَأْتِي يَوْمَ الْقِيَامَةِ ، بِقُرُونِهَا ، وَأَظْلاَفِهَا ، وَأَشْعَارِهَا ، وَإِنَّ الدَّمَ ، لَيَقَعُ مِنَ اللهِ عَزَّ وَجَلَّ ، بِمَكَانٍ قَبْلَ أَنْ يَقَعَ عَلَى الأَرْضِ ، فَطِيبُوا بِهَا نَفْسًا.
Tarjama:Hazrat Ummul Momenin Aaisha Siddiqa radhi Allahu anhu kahti hain ki Huzur-e-Akram Sallallahu alaihe wasallam ne farmaya: Yaum-un-Nahar (10wi Zil-hijja) ko ibne aadam ka koi bhi amal Allah ke nazdik khoon bahaane se ziyadah mahboob nahi.Aur Qurbani ka jaanwar qayamat ke din apni singh,Khur aur baalo samet aayega.Aur beshak zameen par khoon girne se pahle Allah Ta’ala ke nazdik maqaam paida kar leta hai.Is liye qurbani khush-dili ke saath kiya karo.[Ibne Majah,Hadees No.3126]
عَنْ أَبِي سَعِيدٍ الْخُدْرِيِّ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ ، قَالَ : قَالَ رَسُولُ اللهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ لِفَاطِمَةَ عَلَيْهَا الصَّلاَةُ وَالسَّلاَمُ : قَوْمِي إِلَى أُضْحِيَّتِكَ فَاشْهَدِيهَا فَإِنَّ لَكِ بِأَوَّلِ قَطْرَةٍ تَقْطُرُ مِنْ دَمِهَا يُغْفَرُ لَكِ مَا سَلَفَ مِنْ ذُنُوبُكَ قَالَتْ : يَا رَسُولَ اللهِ ، هَذَا لَنَا أَهْلَ الْبَيْتِ خَاصَّةً أَوْ لَنَا وَلِلْمُسْلِمِينَ عَامَّةً ؟ قَالَ : بَلْ لَنَا وَلِلْمُسْلِمِينَ عَامَّةً.
Tarajama:Hazrat Abu Sa’eed khudri radhi Allahu anhu riwayat karte hain ki:Huzur Sallallahu alaihe wasallam ne Hazrat Sayyidah Fatima radhi Allahu anhu se farmaya ki:Aye Fatima! Tum apne qurbani ke jaanwar ke paas qurbani ke waqt haazir raho,Kyunki iske khoon ka pahla qatra girte hi Allah Ta’ala tumhare pichhle tamam gunaaho ko bakhsh dega.Hazrat Fatima ne arz kiya:Ya Rasoolallah Sallallahu alaihe wasallam! Qurbani karne ka ye sawab ham ahl-e-bait ke liye khaas hai ya hamare saath aam musalmano ke liye bhi hai? Huzur Sallallahu alaihe wasallam ne farmaya:Ham logo ke liye hai aur aam musalmano ke liye bhi hai.[Al-Mustadark Lil-Hakim,Hadees No.7525]
عن الحسن بن علي رضي الله عنهما قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:مَن ضحَّى طَيِّبةً بها نفسُه، محتسبًا لأضحيتِهِ كانَت لهُ حجابًا من النَّارِ۔
Tarjama:Hazrat Maula Ali Radhi Allahu Anhu se riwayat hai ki: Huzur Sallallahu alaihe wasallam ne farmaya: Jis ne khush-dili se sawab ki niyat se qurbani ki to woh qurbani uske liye jahannam se rukaawat ban jaaegi.[ Kanzul Ummal,Hadees No.12154]
عَنْ طَاوُسٍ عَنِ ابْنِ عَبَّاسٍ قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ -صلى الله عليه وسلم- مَا أُنْفِقَتِ الْوَرِقُ فِى شَىْءٍ أَفْضَلَ مِنْ نَحِيرَةٍ فِى يَوْمِ عِيدٍ ۔
Tarjama:Hazrat Abdullah bin Abbas radhi Allahu anhuma bayan karte hain ki: Huzur-e-Akram Sallallahu alaihe wasallam ne irshad farmaya:Tum jis chiz me bhi raqam kharch karte ho,Us me sab se ziyadah fazilat wali chiz Eid-ul-Azha ke din qurbani karna hai.[Sunan Dar-Qutni,Hadees No.4667]
عَنْ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ عَمْرِو بْنِ الْعَاصِ أَنَّ النَّبِىَّ -صلى الله عليه وسلم- قَالَ « أُمِرْتُ بِيَوْمِ الأَضْحَى عِيدًا جَعَلَهُ اللَّهُ عَزَّ وَجَلَّ لِهَذِهِ الأُمَّةِ ». قَالَ الرَّجُلُ أَرَأَيْتَ إِنْ لَمْ أَجِدْ إِلاَّ أُضْحِيَةً أُنْثَى أَفَأُضَحِّى بِهَا قَالَ « لاَ وَلَكِنْ تَأْخُذُ مِنْ شَعْرِكَ وَأَظْفَارِكَ وَتَقُصُّ شَارِبَكَ وَتَحْلِقُ عَانَتَكَ فَتِلْكَ تَمَامُ أُضْحِيَتِكَ عِنْدَ اللَّهِ عَزَّ وَجَلَّ ».
Tarjama:Hazrat Abdullah bin amar bin Aas radhi Allahu anhuma kahte hain ki Huzur Nabi Kareem Sallallahu alaihe wasallam ne farmaya: Azha ke din (10wi Zil-Hijja ko) mujhe Eid manaane ka hukm diya gaya hai,Jise Allah Ta’ala ne is ummat ke muqarrar farmaya hai.Ek Shakhs kahne laga, Bataaiye agar mere paas oontni ya bakri (Jis ki umar qurbani ki nahi hui ho) to kya main usi ki qurbani kar dun? Huzur Sallallahu alaihe wasallam ne farmaya: Nahi,Tum apne baal katar lo,Naakhun tarash lo,Munchh bana lo,Aur naaf ke niche ke baal saaf kar lo.Allah Ta’ala ke nazdik (sawab me) bas yahi tumhari puri qurbani hai.[Abu Dawood,Hadees No.2789]
Share.........
Imaan Imaan ki Nishaaniya Allah ki Mohabbat Allah Ta'ala ke liye mohabbat ki fazilat Allah Ta'ala ke saath achchha guman rakhne ki fazilat Mohabbat-e-Rasool ﷺ Sachche Nabi ke Mo'jaze Tazim-e-Nabi ﷺ Nabi ﷺ ke Tabarrukaat Ahle Bait aur Sahaba ki Azmat Qabr me pesh aane wale halaat Qayamat ki nishaaniya Bando ke haq ilm-e-deen ki fazilat Quran Sharif ki azmat-o-fazilat Taalim-e-Quran ki fazilat Ilm-e-Gaib-e-Mustafa ﷺ Hayaat-e-Ambiya Ekhtiyar-e-Mustafa ﷺ Wasila Bid'at Isaal-e-Sawab Murde Bolte Sunte Hain Gustakhon ki pahchan Namaz ki fazilat Namaz chhorne ki muzammat Sunnat aur Nafil namazon ki ginti aur unki fazilat Rafa-e-Yadain Imaam ke pichhe tilawat Namaz-e-Taraweeh ki fazilat aur uski rik'aten Do Namazo ko ek saath jama kar ke padhna Namaz-e-Janaza me Salam ek taraf ya dono taraf? Mukammal Namaz Hadees ki raushani me Mard aur aurat ki namaz me farq Namaz ke baad dua Ramzan Aur Roze Wagairah ki fazilat Roza na rakhne ka wabaal Haj aur Umrah ki fazilat Haj na karne ki muzammat