Mard Aur Aurat Ki Namaz Me Farq



عَنْ يَزِيدَ بْنِ أَبِى حَبِيبٍ : أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ -صلى الله عليه وسلم- مَرَّ عَلَى امْرَأَتَيْنِ تُصَلِّيَانِ فَقَالَ : إِذَا سَجَدْتُمَا فَضُمَّا بَعْضَ اللَّحْمِ إِلَى الأَرْضِ ، فَإِنَّ الْمَرْأَةَ لَيْسَتْ فِى ذَلِكَ كَالرَّجُلِ

Tarjama:Hazrat yazid bin Abi Habib se riwayat hai ki, Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam do aurato ke paas se guzre jo namaz padh rahi thi,Aap Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya: Jab tum sajda karo to apne jism ka kuchh hissa zameen se mila liya karo,Kyunki aurat (ka hukm sajdah ki haalat me)mard ki tarah nahi hai. [Sunanul Kubra,Baihaqi, Hadees No.3325]

"عَنْ وَائِلِ بن حُجْرٍ، قَالَ: جِئْتُ النَّبِيَّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ ... فَقَالَ لِي رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ:يَا وَائِلَ بن حُجْرٍ، إِذَا صَلَّيْتَ فَاجْعَلْ يَدَيْكَ حِذَاءَ أُذُنَيْكَ، وَالْمَرْأَةُ تَجْعَلُ يَدَيْهَا حِذَاءَ ثَدْيَيْهَا".

Tarjama: Hazrat Waail bin Juhr radhi Allaho anho bayan karte hain ki main Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ki khidmat me haazir hua (ye ek lambi hadees hai,usi me hai ki) to Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne mujh se farmaya: Aye Waail! Jab tum namaz padho to apne dono haath kaano tak uthaao aur aurat apne dono haath apne sine ke barabar uthaaye.[Al-Mo’jamul Kabeer,1749.Majmaul zawaaid,Hadees No.1605]

عَنْ أَبِى سَعِيدٍ الْخُدْرِىِّ صَاحِبِ رَسُولِ اللَّهِ -صلى الله عليه وسلم- عَنْ رَسُولِ اللَّهِ -صلى الله عليه وسلم- أَنَّهُ قَالَ :« خَيْرُ صُفُوفِ الرِّجَالِ الأُوَلُ ، وَخَيْرُ صُفُوفِ النِّسَاءِ الصَّفُّ الْمُؤَخَّرُ ». وَكَانَ يَأْمُرُ الرِّجَالَ أَنْ يَتَجَافُوا فِى سُجُودِهِمْ ، وَيَأْمُرُ النِّسَاءَ يَنْخَفِضْنَ فِى سُجُودِهِنَّ

Tarajama:Hazrat Abu Saeed Khudri radhi Allaho anho farmaate hain ki: Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya: Mardo ki safo me sab se behtar saff pahla saff hai aur aurato ki safo me sab se behtar aakheri saff hai.Aur Aap Sallallaho alaihe wasallam mardo ko hukm dete the ki sajde me (apni raano ko pet se)alag rakhe aur aurato ko hukm farmaate the ki khoob simat kar (yani raano ko pet se mila kar)sajdah kare.[Sunanul Kubra,Baihaqi,Hadees No.3323]

عَنْ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ عُمَرَ قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ -صلى الله عليه وسلم- : إِذَا جَلَسْتِ الْمَرْأَةُ فِى الصَّلاَةِ وَضَعَتْ فَخِذَهَا عَلَى فَخِذِهَا الأُخْرَى ، وَإِذَا سَجَدْتْ أَلْصَقَتْ بَطْنَهَا فِى فَخِذَيْهَا كَأَسْتَرِ مَا يَكُونُ لَهَا ، وَإِنَّ اللَّهَ تَعَالَى يَنْظُرُ إِلَيْهَا وَيَقُولُ : يَا مَلاَئِكَتِى أُشْهِدُكُمْ أَنِّى قَدْ غَفَرْتُ لَهَا

Tarjama:Hazrat Abdullah bin Umar radhi Allaho anhuma se riwayat hai ki Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya: Jab aurat namaz me baithe to apni ek raan dusri raan par rakhe aur jab sajda kare to apna pet apni raano ke saath mila le,Jo uske liye ziyadah parde ki haalat hai.Allah Ta’ala uski taraf dekhta hai aur farmaata hai,Aye mere farishto! Gawaah ban jaao main ne is aurat ko bakhsh diya hai.[Sunanul kubra baihaqi,Hadees No.3324]

عَنِ الْحَارِثِ ، عَنْ عَلِيٍّ ، قَالَ : إذَا سَجَدَتِ الْمَرْأَةُ فَلْتَحْتَفِز ، وَلْتَضُمَّ فَخِذَيْهَا

Tarjama: Hazrat Ali radhi Allaho anho ne farmaya ki: Aurat simat kar sajda kare aur apne pet ko raano se mila kar rakhe.[Musannaf ibne abi shaiba,Hadees No.2793]

عَنْ بُكَيْرِ بْنِ عَبْدِ اللهِ بْنِ الأَشَجِّ ، عَنِ ابْنِ عَبَّاسٍ ؛ أَنَّهُ سُئِلَ عَنْ صَلاَةِ الْمَرْأَةِ ؟ فَقَالَ : تَجْتَمِعُ وَتَحْتَفِزُ.

Tarjama:Hazrat ibne Abbas radhi allaho anhuma se Aurat ki namza ke baare me sawal kiya gaya to Aap ne farmaya ki:Khoob simat kar namaz padhe aur baithne ki haalat me sureen ke bal baithe.[Musannaf ibne abi shaiba,Hadees No.2794]

عَنْ لَيْثٍ ، عَنْ مُجَاهِدٍ ؛ أَنَّهُ كَانَ يَكْرَهُ أَنْ يَضَعَ الرَّجُلُ بَطْنَهُ عَلَى فَخِذَيْهِ إذَا سَجَدَ كَمَا تَصْنَعُ الْمَرْأَةُ.

Tarjama:Hazrat Mujaahid is baat ko makrooh jaante the ki mard jab sajda kare to apne pet ko raano par rakhe jaisa ki aurat rakhti hai.[Musannaf ibne abi shaiba, hadees No.2796]

عَنْ مَنْصُورٍ ، عَنْ إبْرَاهِيمَ ، قَالَ : إذَا سَجَدَتِ الْمَرْأَةُ فَلْتَلْزَقْ بَطْنَهَا بِفَخِذَيْهَا ، وَلاَ تَرْفَعْ عَجِيزَتَهَا ، وَلاَ تُجَافِي كَمَا يُجَافِي الرَّجُلُ.

Tarjama:Hazrat Ibrahim Nakhyee ne farmaya: Aurat jab sajda kare to apne pet ko raano se mila kar rakhe,Woh na apne sureen ko uthaaye aur nahi aise phail kar sajda kare jaise mard phail kar karta hai.[Musannaf ibne abi shaiba,Hadees No.2798]

عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ عَنْ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ التَّسْبِيحُ لِلرِّجَالِ وَالتَّصْفِيقُ لِلنِّسَاءِ

Tarjama:Hazrat Abu Huraira radhi Allaho anho se marwi hai ki Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki (namaz ki haalat me jab koi aisa maamla pesh aa jaae jis se khabar-daar karna ho to) mardo ke liye tasbeeh hai (Yani woh subhanallah kah kar tawajjuh dilaaye) Aur aurato ke liye Tasfeeq yani haath ko haath par maarna hai.(Yani use tawajjuh dilaane ki zarurat ho to awaaz na nikale balki haath par haath maar kar khabar-daar kare) [Sahih Bukhari,Hadees No.1203]

عَنْ أَنَسِ بْنِ مَالِكٍ قَالَ صَلَّيْتُ أَنَا وَيَتِيمٌ فِي بَيْتِنَا خَلْفَ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ وَأُمِّي أُمُّ سُلَيْمٍ خَلْفَنَا

Hazrat Anas bin Malik radhi Allaho bayan karte hain ki: Ham ne apne ghar me namaz ada kiya is tarah ki main aur yateem Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ke pichhe khade hue aur hamari maa umme sulaim hamare pichhe.(Yani aurat mard ke saff me khadi na ho,agarche woh mard uska apna beta hi kyun na ho.[Sahih Bukhari,Hadees No.727]
Share.........




Related Topics



Imaan Imaan ki Nishaaniya Allah ki Mohabbat Allah Ta'ala ke liye mohabbat ki fazilat Allah Ta'ala ke saath achchha guman rakhne ki fazilat Mohabbat-e-Rasool ﷺ Sachche Nabi ke Mo'jaze Tazim-e-Nabi ﷺ Nabi ﷺ ke Tabarrukaat Ahle Bait aur Sahaba ki Azmat Qabr me pesh aane wale halaat Qayamat ki nishaaniya Bando ke haq ilm-e-deen ki fazilat Quran Sharif ki azmat-o-fazilat Taalim-e-Quran ki fazilat Ilm-e-Gaib-e-Mustafa ﷺ Hayaat-e-Ambiya Ekhtiyar-e-Mustafa ﷺ Wasila Bid'at Isaal-e-Sawab Murde Bolte Sunte Hain Gustakhon ki pahchan Namaz ki fazilat Namaz chhorne ki muzammat Sunnat aur Nafil namazon ki ginti aur unki fazilat Rafa-e-Yadain Imaam ke pichhe tilawat Namaz-e-Taraweeh ki fazilat aur uski rik'aten Namaz-e-Vitr Do Namazo ko ek saath jama kar ke padhna Namaz-e-Janaza me Salam ek taraf ya dono taraf? Mukammal Namaz Hadees ki raushani me Namaz ke baad dua Ramzan Aur Roze Wagairah ki fazilat Roza na rakhne ka wabaal Haj aur Umrah ki fazilat Haj na karne ki muzammat



Dawat-E-Quran