Aurato Ke Haj Ke Baare Me Sawal Aur Jawab



Sawal:Kya aurat begair mahram ke haj kar sakti hai?
JawabNahi.Hazrat-e-Abu Umama radhi allaho anho bayan karte hain ki:Nabi kareem ﷺ ne farmaya ki: Musalman aurat ke liye jaaiz nahi hai ki woh apne shauhar ya kisi muhrim ke begair haj kare.(Sahi ibne Khuzaima,Hadis No.2522)
Sawal:Mahram me kaun kaun log aate hain?
JawabBaap,dada,nana,beta,nawaasa,bhai,bhatija,bhanja,Mama aur sasur.Ye sab aurat ke liye mahram hain baaqi sab gair mahram hain.
Sawal:Kya aurat apne shauhar ki ijaazat ke begair haj kar sakti hai?
JawabMard ki tarah aurat par bhi haj farz hai.Is liye haj karne ke liye shauhar ki ijaazat zaruri nahi hai.Har mard aur aurat ko chaahiye ki jab un ke paas haj karne ki taaqat ho jaae to fauran haj kar le.Aur agar shauhar mana kare to uski baat nahi maane,Kyunki Allah ki naafarmaani me kisi ki pairwi karna durust nahi hai.(Musannaf ibne Shaiba,Hadis No.33046)
Sawal:Kya Iddat ke dino me aurat Haj par jaa sakti hai?
JawabAgar aurat iddat me ho to iddat ke din guzaare begair haj par nahi jaa sakti hai.Allah Ta’ala ne iddat wali aurato ke baare me hukm farmaya ki:Aur unhe un ke gharo se baahar nahi nikaalo.Aur nahi woh khud nikle.(Surah Talaaq,Aayat No.1)
Is liye iddat shauhar ke wafaat ki ho ya talaaq ki us darmiyan aurat haj par nahi jaa sakti hai.
Sawal:Mard aur aurat ke ehraam me kiya farq hai?
JawabMard ke liye ehraam me sila hua kapda jaaiz nahi hai jab ki aurat ke liye jaaiz hai ki woh sile hue kapde jis tarah ehraam se pahle pahanti thi ab bhi pahne.Haan chehra khula rakhegi kyunki aurat ka ehraam us ke chehre hi me hai.Sar par dopatta rakhna zaruri hai.Jab ki mard ke liye sar chhupaana haraam hai.
Sawal:Kya aurat haiz ya nifaas ki haalat me ehraam baandh sakti hai?
JawabJi haan.Aurat haiz aur nifaas ki haalat me ehraam baandh sakti hai.Hazrat-e-Ibne Abbas radhi allaho anho bayan karte hain ki haiz aur nifaas wali aurate gusal kar ke ehraam baandhe aur haj ke saare kaam kare siwaae tawaf-e-Kaaba ke,Jab tak ki paak nahi ho jaae.(Tirmizi,Hadis 946)
Sawal:Agar aurat haj ke darmiyan kisi se parda karne ke liye kisi chiz ya pankhe wagairah ka istemal kare aur woh chiz maathe ya naak munh wagairah se lag jaae to us ke baare me kya hukm hai?
JawabAgar aurat haj ke darmiyan kisi se parda karne ke liye kisi chiz ya pankhe wagairah ka istemal kare to us surat me un ko ehtiyaat karna chahiye ki chehre se woh chiz nahi lage nahi to ye galat hoga aur us galti ke kaffaare me sadqa karna wajib hoga.
Sawal:Kya aurat mard ki tarah buland awaaz se Talbiyah padh sakti hai?
JawabJi nahi.Aurat mard ki tarah buland awaaz se Talbiyah nahi padh sakti hai.Unhe chahiye ki itni awaaz se padhe jise woh khud sun sake.
Sawal:Agar aurat ehraam ki haalat me baal kaat le to us ka kya hukm hai?
JawabAgar pure ya ek chauthaai sar ke baal ungli k eek pork e barabar kaat le to Dam yani bakri ki qurbani de aur us se kam hai to sadqa-e-fitr ke barabar sadqa dena hoga.
Sawal:Tawaf ke darmiyan agar aurat ko haiz aa jaae to kya kare?
JawabTawaf ke darmiyan agar haiz aa jaae to wahi se tawaf chhod de aur paak hone ke baad use mukammal kare.
Sawal:Agar kisi aurat ne haiz hi ki haalat me ya bewazu tawaf kar li to us ke liye kya hukm hai?
JawabAgar kisi aurat ne haiz hi ki haalat me ya bewazu mukammal tawaf ya 4 phere kiye to dam dena hoga aur phere se kam begair wazu ke ki to harp here ke badle sadqa de.
Sawal:Kya Ramal (Yani tawaf me akar kar chalna) aurato ke liye bhi sunnat hai?
JawabRamal sirf mardo ke liye sunnat hai.Aurato ko ramal nahi karna hai.
Sawal:Ehraam se faarig hote waqt aurat par sar ke kitne baal katwaane ka hukm hai?
JawabAurat par ungli k ek por ke barabar baal katwana zaruri hai.Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki:Halq(Yani sar mundwaana)aurato ke liye nahi hai.Aurato ke liye Taqsir(Yani ungli k eek por ke barabar baal katwaana hai) (Abu Dawood,Hadis No.1985)
Sawal:Agar kisi ko tawafe ziyarat se pahle haiz aa jaae to us ke liye kya hukm hai?
JawabAgar kisi aurat ko tawaf-e-ziyarat se pahle haiz aa jaae to woh tawaf nahi kare jab tak ki woh paak nahi ho jaae aur is me deer hone ki wajah se us par dam bhi laazim nahi hoga.Haan agar qurbani ke dino me paak hone ke baad itna waqt mila ki tawaaf ke kam se kam 4 phere ada kar sakti thi magar nahi kiya to ab dam laazim aaega.
Sawal:Agar tawafe rukhsat ke waqt haiz aa jaae to kya hukm hai?
JawabAgar tawafe rukhsat ke waqt haiz aa jaae to woh begair tawaf kye hue apne ghar jaa sakti hai.Aur us par is ki wajah se koi kaffara bhi laazim nahi aaega.Hazrat-e-Aaisha radhi allaho anha se marwi hai ki:Jab aurat tawafe ziyarat kar le aur phir use haiz aa jaae to us surat me us par kuchh wajib nahi.(Tirmizi,Hadis No.943)
Share.........




Related Topics



Haj Aur Umrah ki Fazilat Haj Karna Kis Par Farz Hai? Haj Ki Qismen Haj Karne Ka Tariqa Haj Ke Faraaiz,Wajibaat Aur Sunnaten Ehraam Ke Masaail Umrah Karne Ka Mukammal Tariqa



Dawat-E-Quran