Haj ke arkaan wagairah 8 Zil hijja se 12 Zil hijja tak ada kiye jaate hain.Kis taarikh ko kya karna padta hai? Woh yahan par Number waar bayan kiya jaata hai.
[8 Zilhijja,Hajj ka pehla din:Yaume Tarwiyyah]
1: Ehram ke saath Niyyat karke Mina pahunchna.
2: Mina me Zohar, Asr, Maghrib, Isha aur 9wi Zilhijja ki Fajr ki namaz padhna.
[9 Zilhijja,Hajj ka dusra din:Yaum-ul Hajj]
1:Suraj nikalne ke baad Arfat me jaakar rukna.
2:Yahan par Zohar aur Asr ki namaz ek saath Zohar ke waqt me padhna.
3:Suraj ke dubne ke baad begair Maghrib ki namaz padhe Arfat se nikalna.
4:Muzdalifa pahunchkar Maghrib aur Isha’ ki namaaz ek saath Isha ke waqt me padhna.
5:Phir Rami ke liye kankadiya (Small Stone) chunna.
[10 Zilhijja,Hajj ka teesra din:Yaum-un Nahar]
1: Fajr ki namaaz padh kar suraj nikalne ke thodi der tak Muzdalifa me rukna.
2: Phir Mina me jaa kar bade shaitan ko 7 kankariya marna.
3: Phir Qurbani karna.
4: Phir Sar ke baal mundwana ya katarwana.
5: Phir Ehram ka libaas utaar kar Gusl kare.
6: Phir Tawaafe Ziyarat karna.(Is Tawaaf ke saath Saee bhi karna hai.)
[11 Zilhijja,Hajj ka chotha din:Yaume Tashriq]
1: Zawal ke baad Teeno Jamraat ki Rami karna.
2: Qurbani aur Tawaafe Ziyarat agar 10wi Zilhijja ko na kiya ho to aaj karna hai.
[12 Zilhijja,Hajj ka 5wa din:Yaume Tashriq]
1: Zawal ke baad Teeno Jamrat ki Rami karna.
2: Qurbani aur Tawaafe Ziyarat agar agle 2 dino me na kiya ho to aaj karna hai.
3: Tawaafe Ziyarat ka waqt 12wi Zilhijja ko suraj dubne se pahle tak hi hai.
4: 12 Zilhijja ko tamam kaamo se faarig ho kar aap Makka aa sakte hain,Magar behtar hai ke aap Mina hi me rook kar 13 Zilhijja ko bhi Rami karke Makka aayen.
5:Tawaafe Wida (Ye sab kaam mukammal hone ke baa dab jab bhi apne watan aana ho to aane se pahle Tawaafe Rukhsat kare phir wahan se chal de.)(Meeqat ke bahar se aane wale Haajiyo par Waajib hai.)
Share.........
Haj Aur Umrah ki Fazilat Haj Karna Kis Par Farz Hai? Haj Ki Qismen Haj Ke Faraaiz,Wajibaat Aur Sunnaten Ehraam Ke Masaail Aurato Ke Haj Ke Baare Me Sawal Jawab Umrah Karne Ka Mukammal Tariqa