Rizq-e-Haram Ki Nahusat



عن بن عباس قال تُلِيَتْ هذهِ الآيةُ عِندَ رسولِ اللهِ صلَّى اللهُ عليه وسلَّمَ: {يَا أَيُّهَا النَّاسُ كُلُوا مِمَّا فِي الْأَرْضِ حَلَالًا طَيِّبًا} [البقرة: 168] فقام سعدُ بنُ أبي وقَّاصٍ فقال: يا رسولَ اللهِ ادعُ اللهَ أنْ يجعَلَني مُستَجابَ الدَّعوةِ، فقال له النبيُّ صلَّى اللهُ عليه وسلَّمَ: يا سعد أطب مطعمك تكن مستجاب الدعوة والذي نفس محمد بيده إن العبد ليقذف اللقمة الحرام في جوفه ما يتقبل منه عمل أربعين يوما وأيما عبد نبت لحمه من السحت والربا فالنار أولى به۔

Tarjama:Hazrat Ibne Abbas radhi Allahu anhu farmate hain ki:Huzur Sallallaho alaihe wasallam ke paas ye aayat tilawat ki gayi “Aye logo khaao jo kuchh zameen me halal pakiza hai”(Surah baqrah,Aayt:168) To Hazrat Sa’d bin Abi Waqqas radhi Allahu anhu khade hue aur arz kiya:Ya Rasoolallah Sallallaho alaihe wasallam! Mere liye dua kar dijiye ki main Mustajabud-dawaat (Jis ki har dua qabool ho) ban jaaun. Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya: Apne khaane ko paak kar lo.(Tumhari har dua qabool hogi) Allah ki qasam! Jab koi shakhs haram ka luqma pet me daalta hai to 40 din tak Allah Ta’ala uska amal qabool nahi karta.Jis shakhs ka badan haraam maal se badha to uska badla jahannam ke elawah aur kuchh bhi nahi hai.[Al-Mo’jamul Ausat, 6/310 Hadees No.6495]

عَنْ أَبِى هُرَيْرَةَ قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ -صلى الله عليه وسلم- « يَا أَيُّهَا النَّاسُ إِنَّ اللَّهَ طَيِّبٌ وَلاَ يَقْبَلُ إِلاَّ طَيِّبًا وَإِنَّ اللَّهَ أَمَرَ الْمُؤْمِنِينَ بِمَا أَمَرَ بِهِ الْمُرْسَلِينَ فَقَالَ (يَا أَيُّهَا الرُّسُلُ كُلُوا مِنَ الطَّيِّبَاتِ وَاعْمَلُوا صَالِحًا إِنِّى بِمَا تَعْمَلُونَ عَلِيمٌ ) وَقَالَ (يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا كُلُوا مِنْ طَيِّبَاتِ مَا رَزَقْنَاكُمْ) ». قَالَ وَذَكَرَ الرَّجُلَ يُطِيلُ السَّفَرَ أَشْعَثَ أَغْبَرَ يَمُدُّ يَدَهُ إِلَى السَّمَاءِ يَا رَبِّ يَا رَبِّ وَمَطْعَمُهُ حَرَامٌ وَمَشْرَبُهُ حَرَامٌ وَمَلْبَسُهُ حَرَامٌ وَغُذِىَ بِالْحَرَامِ فَأَنَّى يُسْتَجَابُ لِذَلِكَ.َ

Tarjama:Hazrat Abu Hurairah radhi Allahu anhu kahte hain ki Rasoolallah Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki: Logo! Allah paak hai aur halal wa paak chiz hi ko pasand fermata hai.Aur Allah ne iman walo ko unhi chizo ka hukm diya hai jin chizo ka hukm us ne apne Rasoolo ko diya hai.Allah ne farmaya: “Aye Rasool khaao paakiza chizo me se aur nek amal karo,beshak tum jo karte ho,main un sab ko jaan ne wala hun”. Aur Allah Ta’ala ne ye bhi farmaya: “Aye iman walo! Paakiza chizo me se khaao,jo ham ne tumhe diya hai”. (Phir) Huzur Sallallaho alaihe wasallam ek aise shakhs ka zikr kiya jo lamba safar karta hai,Parishan haal aur gubaar aalud hai.Asmaan ki taraf haath phaila kar dua maangta hai Aye mere Rab! Aye mere RAb! Aur haal ye hai ki uska khaana haram ka hai,Uska pina haram ka hai,Uska pahanna haram ka hai aur uski parwarish hi haram se hui hai.Phir uski dua kaise qabool hogi.[Tirmizi,Hadees No.2989]

عن بن عمر قال : من اشترى ثوبا بعشرة دراهم وفيه درهم حرام لم يقبل الله له صلاة ما دام عليه

Tarajama:Hazrat ibne Umar radhi Allahu anhuma se riwayat hai ki Rasool-e-Kareem Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya: Jis shakhs ne 10 dirham ka libaas kharida lekin us me ek dirham haram ka tha,To jab tak ye libaas uske badan par rahega,uski namaz qabool nahi hogi.[Musnad-e-Ahmad,Musnad-e-Abdullah bin Umar bin Khattab radhi Allahu Anhuma,Hadees No.5732]

عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ قَالَ: قَالَ رَسُولُ اللهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: " لَأَنْ يَجْعَلَ أَحَدُكُمْ فِي فِيهِ تُرَابًا خَيْرٌ لَهُ، مِنْ أَنْ يَجْعَلَ فِي فِيهِ مَا حَرَّمَ اللهُ عَزَّ وَجَلَّ "

Tarjama:Hazrat Abu Hurairah radhi Allahu Anhu se riwayat hai ki Rasoolallah Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya:Munh me khaak (mitti) daal lena is se behtar hai ki koi shakhs haram maal apne munh me dale.[Sho’bul iman,Hadees No.5379]

َعن عبد الله بن مسعود قال قال رسول الله صلى الله عليه و سلم : إن الله قسم بينكم أخلاقكم كما قسم بينكم أرزاقكم وإن الله عز و جل يعطي الدنيا من يحب ومن لا يحب ولا يعطي الدين إلا لمن أحب فمن أعطاه الله الدين فقد أحبه والذي نفسي بيده لا يسلم عبد حتى يسلم قلبه ولسانه ولا يؤمن حتى يأمن جاره بوائقه قالوا وما بوائقه يا نبي الله قال غشمه وظلمه ولا يكسب عبد مالا من حرام فينفق منه فيبارك له فيه ولا يتصدق به فيقبل منه ولا يترك خلف ظهره إلا كان زاده إلى النار إن الله عز و جل لا يمحو السيئ بالسيئ ولكن يمحو السيئ بالحسن إن الخبيث لا يمحو الخبيث

Tarjama:Hazrat Abdullah bin Mas’ood radhi Allahu anhu riwayat karte hain ki: Huzur Nabi Kareem Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya: Beshak Allah Ta’ala ne tumhare darmiyan akhlaaq ko bhi aise hi taqseem farmaya hai jaise rizq taqseem farmaya hai.Aur beshak Allah Ta’ala dunya use deta hai jisko pasand fermata hai aur use bhi deta hai jisko pasand nahi fermata hai.Lekin deen sirf usi ko deta hai jise pasand fermata hai.To jise Allah ne deen diya use Allah ne pasand farmaya.Aur qasam hai us zaat ki jis ke qabze me meri jaan hai! Koi banda us waqt tak musalman nahi ho sakta jab tak uska dil aur zuban musalman na ho jaae.Aur koi banda iman wala nahi ho sakta jab tak uska padosi uski buraaiyo se amaan me na ho. Puchha gaya: Ya Rasoolallah Sallallaho alaihe wasallam! Uski buraaiyan kya hain? Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya: Uska dhoka aur uska zulm.Aur jo banda haraam maal haasil karta hai,Agar usko sadqa kare to qabool nahi,Aur kharch kare to uske liye us me barkat nahi aur apne baad chhor kar mar jaae to jahannam me jaane ka samaan hai.Allah Ta’ala buraayi se buraayi ko nahi mitaata,haan!Neki se buraayi ko mitaa deta hai.Beshak khabis ko khabis nahi mitaata.[Musnad-e-Ahamd,Musnad-e-Abdullah Bin Mas’ood radhi Allahu anhu,Hadees No.3672]

عن أبي بكر الصديق أن النبي صلى الله عليه و سلم قال : لا يدخل الجنة جسد غذي بحرام ۔

Tarjama:Hazrat Abu Bakar Siddiq radhi Allahu anhu bayan karte hain ki: Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya:Woh jism jannat me nahi jaaega jis ki parwarish haram se ki gayi ho.[Musand-e-Abi Ya’la,Musand-e-Abu Bakar Siddiq Radhi Allahu anhu,Hadees No.83]

عَنْ جَابِرٍ قَالَ: قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: لَا يَدْخُلُ الْجَنَّةَ لَحْمٌ نبَتَ منَ السُّحْتِ وكلُّ لحمٍ نبَتَ منَ السُّحْتِ كَانَتِ النَّارُ أَوْلَى بِهِ۔

Tarjama:Hazrat Jabir radhi Allahu anhu bayan karte hain ki: Rasoolallah Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya: Haram se parwarish paane wala gosht jannat me daakhil nahi hoga.Aur Haram se parwarish paane wala har gosht jahannam ki aag hi uski ziyadah haq-daar hai.[Mishkaat Sharif,Hadees No.2772]

عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ ، أَنَّ رَسُولَ اللهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ ، قَالَ : إِذَا أَدَّيْتَ الزَّكَاةَ فَقَدْ قَضَيْتَ مَا عَلَيْكَ ، وَمَنْ جَمَعَ مَالاً حَرَامًا ، ثُمَّ تَصَدَّقَ بِهِ لَمْ يَكُنْ لَهُ فِيهِ أَجْرٌ ، وَكَانَ إِصْرُهُ عَلَيْهِ.

Tarjama:Hazrat Abu Hurairah radhi Allahu Anhu se riwayat hai ki Rasoolallah Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya:Jab tum ne zakaat ada kar diya to tum ne us farz ko ada kar diya jo tum par tha.Aur jis ne haram maal jama kiya phir us se sadqa kiya to use koi sawab nahi milega balki us par gunaah hoga.[ Al-Mustadrak Lil-Hakim,Hadees No.1440]

عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ، عَنِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، قَالَ: يَأْتِي عَلَى النَّاسِ زَمَانٌ، لَا يُبَالِي الْمَرْءُ مَا أَخَذَ مِنْهُ، أَمِنَ الْحَلَالِ أَمْ مِنَ الْحَرَامِ؟".

Tarjama:Hazrat Abu Hurairah radhi Allahu Anhu se riwayat hai ki Rasoolallah Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya:Logo par ek aisa zamaana aayega ki insaan koi parwaah nahi karega ki jo us ne haasil kiya hai woh halal se hai ya haraam se.[Sahih Bukhari,hadees No.2059]
Share.........




Related Topics



Imaan Imaan ki Nishaaniya Allah ki Mohabbat Allah Ta'ala ke liye mohabbat ki fazilat Allah Ta'ala ke saath achchha guman rakhne ki fazilat Mohabbat-e-Rasool ﷺ Sachche Nabi ke Mo'jaze Tazim-e-Nabi ﷺ Nabi ﷺ ke Tabarrukaat Ahle Bait aur Sahaba ki Azmat Qabr me pesh aane wale halaat Qayamat ki nishaaniya Bando ke haq ilm-e-deen ki fazilat Quran Sharif ki azmat-o-fazilat Taalim-e-Quran ki fazilat Ilm-e-Gaib-e-Mustafa ﷺ Hayaat-e-Ambiya Ekhtiyar-e-Mustafa ﷺ Wasila Bid'at Isaal-e-Sawab Murde Bolte Sunte Hain Gustakhon ki pahchan Namaz ki fazilat Namaz chhorne ki muzammat Sunnat aur Nafil namazon ki ginti aur unki fazilat Rafa-e-Yadain Imaam ke pichhe tilawat Namaz-e-Taraweeh ki fazilat aur uski rik'aten Namaz-e-Vitr Do Namazo ko ek saath jama kar ke padhna Namaz-e-Janaza me Salam ek taraf ya dono taraf? Mukammal Namaz Hadees ki raushani me Mard aur aurat ki namaz me farq Namaz ke baad dua Ramzan Aur Roze Wagairah ki fazilat Roza na rakhne ka wabaal Haj aur Umrah ki fazilat Haj na karne ki muzammat Zakaat Dene Ki Fazilat Zakaat Ada Nahi Karne Ki Muzammat Sadqa Dene Ki Fazilat Qurbani Ki Fazilat Khidmat-e-Khalq Ki Fazilat Husn-e-Akhlaq Ki Fazilat Azmat-e-Waledain Allah Se Dua Karne Ki Fazilat Rizq-e-Halal Ki Talash Aur Uski Fazilat



Dawat-E-Quran