عَنِ ابْنِ عُمَرَ رضی الله عنهما قَالَ: قَالَ رَسُوْلُ اللهِ صلی الله عليه وآله وسلم: بُنِيَ الإِسْلاَمُ عَلٰی خَمْسٍ: شَهَادَةِ أَنْ لَا إِلٰهَ إِلاَّ اللهُ وَأَنَّ مُحَمَّدًا رَّسُوْلُ اللهِ،وَإِقَامِ الصَّلَاةِ، وَإِيْتَاءِ الزَّکَاةِ، وَالْحَجِّ، وَصَوْمِ رَمَضَانَ.
Tarjama: Hazrat Abdullah bin Umar radhi Allahu anhuma se riwayat hai ki Rasoolallah Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya: Islam ki bunyad 5 chizo par hai.1) Ye gawahi dena ki Allah Ta’ala ke siwa koi ma’bood nahi aur ye ki Muhammad Sallallaho alaihe wasallam Allah Ta’ala ke Rasool hain.2)Namaz qaayem karna.3)Zakaat dena. 4)Haj karna.5)Ramzan ke roze rakhna.[Sahih Bukhari,Hadees No.8]
عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ رضی الله عنه أَنَّ أَعْرَابِهًّا أَتَی النَّبِيَّ صلی الله عليه وآله وسلم فَقالَ: دُلَّنِي عَلٰی عَمَلٍ، إِذَا عَمِلْتُهُ دَخَلْتُ الْجَنَّةَ. قَالَ: تَعْبُدُ اللهَ لَا تُشْرِکُ بِهِ شَيْئًا، وَتُقِيمُ الصَّلَاةَ الْمَکْتُوبَةَ، وَتُؤَدِّي الزَّکَاةَ الْمَفْرُوْضَةَ، وَتَصُوْمُ رَمَضَانَ. قَالَ: وَالَّذي نَفْسِي بِيَدِهِ، لَا أَزِيدُ عَلٰی هٰذَا. فَلَمَّا وَلّٰی، قَالَ النَّبِيُّ صلی الله عليه وآله وسلم: مَنْ سَرَّهُ أَنْ يَنْظُرَ إِلٰی رَجُلٍ مِنْ أَهْلِ الْجَنَّةِ، فَلْيَنْظُرْ إِلٰی هٰذَا.
Tarjama:Hazrat Abu Hurairah radhi Allahu anhu bayan karte hain ki: Huzur Sallallaho alaihe wasallam ki khidmat me ek dehaati haazir hua aur us ne arz kiya: (Ya Rasoolallah Sallallaho alaihe wasallam!) Mujhe aisa amal bataaiye jise anjaam dene se main jannat me daakhil ho jaaun.Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya: Allah Ta’ala ki ibaadat is tarah karo ki uske saath kisi ko sharik na banaao.Farz namaze aur farz zakaat ada karo aur Ramzan ke roze rakho. Us dehaati ne kaha: Us zaat ki qasam jis ke qabze me meri jaan hai! Main in ahkaam par kuchh bhi ziyadah na karunga.Jab woh wapas jaane ke mura to Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya: Jise is baat se khushi ho ki woh kisi jannati aadmi ko dekhe to woh isko dekh le. [Sahih Bukhari,Hadees No.1310,1397]
عَنْ مُعَاذِ بْنِ جَبَلٍ رضی الله عنه قَالَ: کُنْتُ مَعَ النَّبِيِّ صلی الله عليه وآله وسلم فِي سَفَرٍ، فَأَصْبَحْتُ يَوْمًا قَرِيْبًا مِنْهُ، وَنَحْنُ نَسِيْرُ، فَقُلْتُ: يَا رَسُوْلَ اللهِ، أَخْبِرْنِي بِعَمَلٍ يُدْخِلُنِي الْجَنَّةَ، وَيُبَاعِدُنِي عَنِ النَّارِ. قَالَ: لَقَدْ سَأَلْتَنِي عَنْ عَظِيمٍ، وَإِنَّهُ لَيَسِيْرٌ عَلٰی مَنْ يَسَّرَهُ اللهُ عَلَيْهِ، تَعْبُدُ اللهَ وَلَا تُشْرِکْ بِهِ شَيْئًا، وَتُقِيْمُ الصَّلَاةَ، وَتُؤْتِي الزَّکَاةَ، وَتَصُوْمُ رَمَضَانَ، وَتَحُجُّ الْبَيْتَ. ثُمَّ قَالَ: أَلاَ أَدُلُّکَ عَلٰی أَبْوَابِ الْخَيْرِ: اَلصَّوْمُ جُنَّةٌ، وَالصَّدَقَةُ تُطْفِیُ الْخَطِيْئَةَ، کَمَا يُطْفِیُ الْمَاءُ النَّارَ.
Tarajama: Hazrat Mua’z bin Jabal radhi Allahu anhu se riwayat hai:Woh farmate hain:Main ek safar me Huzur Sallallaho alaihe wasallam ke saath tha,Ek din chalet chalet main Aap ke qareeb ho gaya aur arz kiya: Ya Rasoolallah Sallallaho alaihe wasallam! Mujhe aisa amal bata dijiye jo mujhe jannat me daakhil kar de aur jahannam se door kar de.Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya:Tu ne mujh se bahut badi baat ka sawal kiya,Haan! Allah jis ke liye asaan farma de uske liye asaan hai.Allah Ta’ala ki ibaadat karo aur us ke saath kisi ko sharik na banaao.Namaz qaayem karo,Zakaat ada karo,Ramzan ke roze rakho aur Allah ke ghar ka haj karo.Phir farmaya:Kya main tumhe neki ke darwaze na bata dun? Roza dhaal hai,Sadqa gunaaho ko bujha (Mita) deta hai jaise paani aag ko bujhata hai.[Tirmizi,Hadees No.2616]
عَنْ عُبَيْدِ بْنِ عُمَيْرٍ ، عَنْ أَبِيهِ ، أَنَّهُ حَدَّثَهُ وَكَانَتْ لَهُ صُحْبَةٌ ، أَنَّ رَسُولَ اللهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ ، قَالَ فِي حَجَّةِ الْوَدَاعِ : أَلاَ إِنَّ أَوْلِيَاءَ اللهِ الْمُصَلُّونَ مَنْ يُقِيمُ الصَّلَوَاتِ الْخَمْسِ الَّتِي كُتِبَتْ عَلَيْهِ ، وَيَصُومُ رَمَضَانَ ، وَيَحْتَسِبُ صَوْمَهُ يَرَى أَنَّهُ عَلَيْهِ حَقٌّ ، وَيُعْطِي زَكَاةَ مَالِهِ يَحْتَسِبُهَا ، وَيَجْتَنِبُ الْكَبَائِرَ الَّتِي نَهَى اللَّهُ عَنْهَا ثُمَّ إِنَّ رَجُلاً سَأَلَهُ فَقَالَ : يَا رَسُولَ اللهِ ، مَا الْكَبَائِرُ ؟ فَقَالَ : هُوَ تِسْعٌ : الشِّرْكُ بِاللَّهِ ، وَقَتْلُ نَفْسِ مُؤْمِنٍ بِغَيْرِ حَقٍّ ، وَفِرَارٌ يَوْمَ الزَّحْفِ ، وَأَكْلُ مَالِ الْيَتِيمِ ، وَأَكْلُ الرِّبَا ، وَقَذْفُ الْمُحْصَنَةِ ، وَعُقُوقُ الْوَالِدَيْنِ الْمُسْلِمَيْنِ ، وَاسْتِحْلاَلُ الْبَيْتِ الْحَرَامِ قِبْلَتِكُمْ أَحْيَاءً وَأَمْوَاتًا ، ثُمَّ قَالَ : لاَ يَمُوتُ رَجُلٌ لَمْ يَعْمَلْ هَؤُلاَءِ الْكَبَائِرَ ، وَيُقِيمُ الصَّلاَةَ ، وَيُؤْتِي الزَّكَاةَ إِلاَّ كَانَ مَعَ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ فِي دَارٍ أَبْوَابُهَا مَصَارِيعُ مِنْ ذَهَبٍ .
Tarjama:Hazrat Ubaid bin Umair radhi Allahu anhu bayan karte hain ki: Rasoolallah Sallallaho alaihe wasallam ne Hajjatul Wida ke mauqe par irshad farmaya: Namazi Allah ke wali hain.Jo shakhs Allah ki taraf se bando par farz kiya hua 5 namazo ki pabandi karta hai, Ajr-o-sawab ki niyat se Ramzan ke roze rakhta hai,Khush dili se sawab haasil karne ke liye zakaat ada karta hai.Aur Un bade gunaaho se bachta hai jin se Allah Ta’ala ne mana farmaya hai (Woh bhi Allah ka wali hai) Sahaba me se ek ne arz kiya: Ya Rasoolallah Sallallaho alaihe wasallam! Bade gunaah kitne hain? Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya: 9 hain.Un me se sab se bada,Allah Ta’ala ke saath shirk karna hai,Momin ko na-haq qatal karna.Jang me se bhaagna,Paak daaman aurat par ilzaam lagana,Jaadu karna,Yateem ka maal khaana,Sood khaana,Maa Baap ki na-farmani karna aur Allah ke ghar ki be-hurmati karna hai.Jis shakhs ko is haalat me maut aaye ki us ne in bade gunaaho me se koi gunaah nahi kiya ho,Namaz qaayem karta raha ho aur zakaat ada karta raha ho,Woh aisi jannat me Huzur Nabi Kareem Sallallaho alaihe wasallam ke saath hoga jis ke darwaze ki chaukhat soone ki bani hui hai.[Al-Mustadark Lil-hakim,Hadees No.197]
عَنْ أَبِي الدَّرْدَاءِ، قَالَ: قَالَ رَسُولُ اللهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: " الزَّكَاةُ قَنْطَرَةُ الْإِسْلَامِ "ِ
Tarjama: Hazrat Abu Drda radhi Allahu anhu se riwayat hai ki:Rasoolallah Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki:Zakaat Islam ka pull (Bridge) hai.[Sho’bul iman,Hadees No.3038]
عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ وَعَنْ أَبِي سَعِيدٍ رضی الله عنهما يَقُولَانِ: خَطَبَنَا رَسُوْلُ اللهِ صلی الله عليه وآله وسلم يَوْمًا فَقَالَ: وَالَّذِي نَفْسِي بِيَدِهِ ثَلَاثَ مَرَّاتٍ، ثُمَّ أَکَبَّ فَأَکَبَّ کُلُّ رَجُلٍ مِنَّا يَبْکِي لَا نَدْرِي عَلٰی مَاذَا حَلَفَ، ثُمَّ رَفَعَ رَأسَهُ، فِي وَجْهِهِ الْبُشْرٰی، فَکَانَتْ أَحَبَّ إِلَيْنَا مِنْ حُمْرِ النَّعَمِ. ثُمَّ قَالَ: مَا مِنْ عَبْدٍ يُصَلِّي الصَّلَوَاتِ الْخَمْسَ، وَيَصُوْمُ رَمَضَانَ وَيُخْرِجُ الزَّکَاةَ، وَيَجْتَنِبُ الْکَبَاءِرَ السَّبْعَ، إِلَّا فُتِّحَتْ لَهُ أَبْوَابُ الْجَنَّةِ. فَقِيلَ لَهُ: ادْخُلْ بِسَلَامٍ.
Tarjama:Hazrat Abu Hurairah Aur Hazrat Abu Sa’eed radhi Allahu anhuma se marwi hai,Woh bayan karte hain ki: Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne ek din hame khutba diya aur irshad farmaya:Us zaat ki qasam jis ke qabza-e-qudrat me meri jaan hai,(Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne 3 martabah ye alfaz duhraaye) Us ke baad Huzur Sallallaho alaihe wasallam jhuk gaye aur ham me se hare k shakhs jhuk kar rone laga,Lekin hame maloom nahi tha ki Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne kis baat par qasam khaayi hai.Phir us ke baad Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne sar-e-mubarak uthaaya aur Aap ke chehre par khushi thi.Aur ye khushi hame (sab se qimati) laal rang ki oontani se bhi ziyadah mahboob thi.Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya:Jo shakhs 5 namazen sahih se ada kare,Ramzan ke roze rakhe, Zakaat ada kare aur 7 bade gunaah se bachta rahe,To us ke liye jannat ke darwaaze khol diye jaaenge aur us se kaha jaaega ki “tum salamti ke saath jannat me daakhil ho jaao”.[Sunan Nisaayi,Hadees No.2440,2450,2438]
أَنَّ أَبَا مَالِكٍ الأَشْعَرِىَّ حَدَّثَهُ أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ -صلى الله عليه وسلم- قَالَ « إِسْبَاغُ الْوُضُوءِ شَطْرُ الإِيمَانِ وَالْحَمْدُ لِلَّهِ تَمْلأُ الْمِيزَانَ وَالتَّسْبِيحُ وَالتَّكْبِيرُ يَمْلأُ السَّمَوَاتِ وَالأَرْضَ وَالصَّلاَةُ نُورٌ وَالزَّكَاةُ بُرْهَانٌ وَالصَّبْرُ ضِيَاءٌ وَالْقُرْآنُ حُجَّةٌ لَكَ أَوْ عَلَيْكَ ».َ
Tarjama:Hazrat Abu Malik Asha’ri radhi Allahu anhu se riwayat hai ki:Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki: Kaamil wazu karna aadha iman hai,Al-hamdulillah taraazu ko bhar deta hai.Aur subhanallah aur Allahu Akbar asmaan aur zameen ko (sawab)se bhar deta hai.Aur Namaz noor hai aur zakaat (iman ki)dalil hai.Aur sabr raushani hai aur Quran Hujjat hai tere haq me bhi aur tere khilaaf bhi.[Sunan Nisaayi,Hadees No.2439, 2449]
عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ رضی الله عنه، عَنْ رَسُولِ اللهِ صلی الله عليه وآله وسلم أَنَّهُ قَالَ لِمَنْ حَوْلَهُ مِنْ أُمَّتِهِ: اکْفَلُوا لِي بِسِتِّ خِصَالٍ وَأَکْفُلُ لَکُمْ بِالْجَنَّةِ. قُلْتُ: مَا هِيَ يَا رَسُولَ اللهِ؟ قَالً: اَلصَّلَاةُ، وَالزَّکَاةُ، وَالأَمَانَةُ، وَالْفَرْجُ، وَالْبَطْنُ وَاللِّسَانُ.َ
Tarjama: Hazrat Abu Hurairah radhi Allahu anhu ka bayan hai ki Rasoolallah Sallallaho alaihe wasallam ne apne paas baithe logo se farmaya:Tum mujhe 6 chizo ki zamanat do,Main tumhe jannat ki zamanat deta hun.Main ne arz kiya:Ya Rasoolallah Sallallaho alaihe wasallam! Woh 6 chizen kya hain? Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya:Namaz,Zakaat,Amanat,Sharam-gaah,Pet aur zubaan.[Al-Mo’jamul Ausat,Juz:5,Hadees No.4925]
عَنْ جَابِرٍ رضی الله عنه قَالَ: قَالَ رَجُلٌ مِنَ الْقَوْمِ: يَا رَسُوْلَ اللهِ، أَرَأَيْتَ إِنْ أَدّٰی رَجُلٌ زَکَاةَ مَالِهِ؟ فَقَالَ رَسُوْلُ اللهِ صلی الله عليه وآله وسلم: مَنْ أَدّٰی زَکَاةَ مَالِهِ فَقَدْ ذَهَبَ عَنْهُ شَرُّهُ.
Tarjama:Hazrat Jaabir radhi Allahu anhu riwayat karte hain ki:Ek Aadmi ne arz kiya:Ya Rasoolallah Sallallaho alaihe wasallam! Us aadmi ke baare me Aap ka kya khayal hai jis ne apne maal ki zakaat ada kar di? Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya:Jis ne apne maal ki zakaat ada kar di,Us se uske maal ka shar (Buraayi) jaata raha.[Sahih Ibne Khuzaima,Hadees No.2258]
عَنْ أَبِي أُمَامَةَ، قَالَ: قَالَ رَسُولُ اللهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: " حَصِّنُوا أَمْوَالَكُمْ بالزَّكاةِ، وَدَاوُوا مَرْضَاكُمْ بِالصَّدَقَةِ، وَاسْتَقْبِلُوا أَمْوَاجَ الْبَلَاءِ بِالدُّعَاءِ۔
Tarjama:Hazrat Abu Umamah radhi Allahu anhu riwayat karte hain ki: Rasoolallah Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya:Apne Maal-o-daulat ko zakaat ke zariye mahfooz bana lo,Aur apni bimariyo ka elaaj sadqa ke zariye karo,Aur musibat ki lahro ka saamna dua aur girya wezaari ke zariye karo.[Sho’bul iman,Hadees No.3279]
Share.........
Imaan Imaan ki Nishaaniya Allah ki Mohabbat Allah Ta'ala ke liye mohabbat ki fazilat Allah Ta'ala ke saath achchha guman rakhne ki fazilat Mohabbat-e-Rasool ﷺ Sachche Nabi ke Mo'jaze Tazim-e-Nabi ﷺ Nabi ﷺ ke Tabarrukaat Ahle Bait aur Sahaba ki Azmat Qabr me pesh aane wale halaat Qayamat ki nishaaniya Bando ke haq ilm-e-deen ki fazilat Quran Sharif ki azmat-o-fazilat Taalim-e-Quran ki fazilat Ilm-e-Gaib-e-Mustafa ﷺ Hayaat-e-Ambiya Ekhtiyar-e-Mustafa ﷺ Wasila Bid'at Isaal-e-Sawab Murde Bolte Sunte Hain Gustakhon ki pahchan Namaz ki fazilat Namaz chhorne ki muzammat Sunnat aur Nafil namazon ki ginti aur unki fazilat Rafa-e-Yadain Imaam ke pichhe tilawat Namaz-e-Taraweeh ki fazilat aur uski rik'aten Namaz-e-Vitr Do Namazo ko ek saath jama kar ke padhna Namaz-e-Janaza me Salam ek taraf ya dono taraf? Mukammal Namaz Hadees ki raushani me Mard aur aurat ki namaz me farq Namaz ke baad dua Ramzan Aur Roze Wagairah ki fazilat Roza na rakhne ka wabaal Haj aur Umrah ki fazilat Haj na karne ki muzammat Zakaat Ada Nahi Karne Ki Muzammat Sadqa Dene Ki Fazilat Qurbani Ki Fazilat Khidmat-e-Khalq Ki Fazilat Husn-e-Akhlaq Ki Fazilat Azmat-e-Waledain Allah Se Dua Karne Ki Fazilat Rizq-e-Halal Ki Talash Aur Uski Fazilat Rizq-e-Haram Ki Nahusat